Jabse Hum Tabah

Artist: Jagjit Singh
Album: Ecstasies

jab se ham tabaah ho gaye
tum jahaaNpanaah ho gaye

husn par nikhaar aa gayaa
aaiine siyaah ho gaye

aaNdhiyon ko kuchh pataa nahiin
ham bhii garderaah ho gaye

dushmanon ko chiTThiyaaN likho
dost KhairKhvaah ho gaye