Chand Se Phool Se

Artist: Jagjit Singh
Album: In Sight

chaaNd se phuul se yaa merii zubaaN se suniye
har taraf aap kaa qisaa jahaaN se suniye

sab ko aataa hai duniyaa ko sataa kar jiinaa
zindagii kyaa muhabbat kii duaa se suniye

merii aavaaz pardaa mere chehare kaa
main huuN Khaamosh jahaaN mujhako vahaaN se suniye

kyaa zaruurii hai ki har pardaa uThaayaa jaaye
mere haalaat apane apane makaaN se suniye