Kanton Ki Chuban

Artist: Jagjit Singh
Album: Desires

kaaNTon kii chubhan paii phuulon kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam men royaa bhii haNsaa bhii

aane kaa sabab yaad na jaane kii Khabar hai
vo dil men rahaa aur use toD gayaa bhii

har ek se manzil kaa pataa puuchh rahaa hai
gumaraah mere saath huaa rahanumaa bhii

'Gumnaam' kabhii apanon se jo Gam huye haasil
kuchh yaad rahe un men kuchh bhuul gayaa bhii