Kahin Aisa Na Ho Daaman Jalaa Lo
Artist: Jagjit Singh
Album: In Search
kahiin aisaa naa ho daaman jalaa lo
hamaare aaNsuuon par Khaak Daalo
manaanaa hii zaruurii hai to phir tum
hamen sab se Khafaa hokar manaa lo
bahut ro_ii huii lagatii hain aaNkhen
merii Khaatir zaraa kaajal lagaa lo
akelepan se Khauf aataa hai muhako
kahaaN ho ai mere KhvaaboKhayaalo
bahut maayuus baiThaa huuN main tumase
kabhii aakar mujhe hairat men Daalo