Shahron Shahron Aaj Hain Tanha

Music Director: Jagjit Singh
Lyrics: Krishan Adeeb
Artist: Jagjit Singh
Album: Rare Gems

shaharon shaharon aaj hai tanhaa dil par gaharaa daaG liye
galiyon galiyon ho gaye rusvaa dil par gaharaa daaG liye

aaj gulistaaN men phailii hai Khushbuu terii yaadoN kii
mausamegul hai ham hain tanhaa dil par gaharaa daaG liye

rotedhote jii ko jalaate manzileshab tak aa pahuNche
chehare par hai gardetamannaa dil par gaharaa daaG liye

DhuuNDhane un ko shaharebutaaN men aaj gaye the ham bhii "Adeeb"
aaNkh men lekar Gam kaa dariyaa dil par gaharaa daaG liye