Tum Nahin Gham Nahin Sharab

Artist: Jagjit Singh
Album: Come Alive In Concert

tum nahiin Gam nahiin sharaab nahiin
aisii tanhaaii kaa javaab nahiin

gahe gahe ise paDaa kiije
dil se bahatar koii kitaab nahiin

jaane kis kis kii maut aaii hai
aaj ruKh pe koii naqaab nahiin

vo karam ungaliyon pe ginte hain
zulm kaa jinake kuchh hisaab nahiin