Ek Brahman Ne Kaha Hai
Artist: Jagjit Singh
Album: Mirage
ek brahmaNn ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
zulm kii raat bahut jald Talegii ab to
aag chuulhon men har ik roz jalegii ab to
bhuuk ke maare koii bachchaa nahiin royegaa
chain kii niind har ik shaKhs yahaaN soyegaa
aaNdhii nafarat kii chalegii na kahiin ab ke baras
pyaar kii fasal ugaaegii zamiin ab ke baras
hai yahiin ab na koii shorsharaabaa hogaa
zulm hogaa na kahiin Khuunkharaabaa hogaa
os aur dhuup ke sadamen na sahegaa koii
ab mere desh men beghar na rahegaa koii
naye vaadon kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hai
rahanumaaon ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai
dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai