Pyar Hua Ikrar Hua

Movie Name: Shree 420 (1955)
Singer: Lata Mangeshkar, Manna Dey
Music Director: Shankar-Jaikishan
Lyrics: Shailendra
Year: 1955
Producer: RK Films
Director: Raj Kapoor
Actors: Iftekhar, Lalita Pawar, Nadira, Nargis, Raj Kapoor

Manna:
Pyaar huwa iqraar huwa hai, pyaar se phir kyu darta hai dil
Lata:
Kehta hai dil, rasta mushkil, maalum nahi hai kaha manzil - 2
Manna:
Pyaar huwa iqraar huwa ...
Lata:
Aa…aa…

Manna:
Kaho ke apni preet ka geet na badlega kabhi
Lata:
Tumbhi kaho is raah ka meet na badlega kabhi
Pyar jo toota, saath jo chhoota
Lata+Manna:
Chaand na chamkega kabhi
Manna:
Aaha ha ha, aaha ha, aa ...
Lata:
Aaha ha ha, aaha ha, aa ...
Manna:
Pyaar huwa iqraar huwa ...
Lata:
Kehta hai dil, rasta mushkil…
Manna:
Pyar huwa iqraar huwa hai…
Lata:
Aa…aa…

Lata:
Raatein daso dishaao se, kahengi apni kahaaniya
Manna:
Geett hamaare pyaar ke, dohraayengi jawaaniya
Lata:
Main na rahungi, tum na rahoge
Phir bhi rahengi nishaaniya
Aaha ha ha…
Lata+Manna:
Pyaar huwa iqraar huwa ...
Kehta hai dil, rasta mushkil…
Manna:
Pyar huwa iqraar huwa hai…
Lata:
Aa…aa…

Extra Verse:
Manna:
Dil kahe is maang ko, main taaro se sanwaar du
Lata:
Tumse naya sansaar lu, tumko naya sansaar du
Chaand aur suraj, deep gagan ke, is dharti pe utaar du
Manna:
Aaha ha aaha ha, aa ...
Pyaar huwa iqraar huwa ...
Lata:
Kehta hai dil, rasta mushkil…
Manna:
Pyar huwa iqraar huwa hai…
Lata:
Aa…aa…