Aitbaar Nahi Karna

Movie Name: Qayamat (2003)
Singer: Abhijeet
Music Director: Nadeem-Shravan
Lyrics: Sameer
Year: 2003

chorus: aa aa..
a: (aitbaar nahin karnaa, intazaar nahin karnaa ) -2
had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa -2
ikraar nahin karnaa, jaaN nisaar nahin karnaa
(had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa) -2

a: manzilen bichhaD gayeen, raaste bhi kho gaye
aaye phir na lauT ke, jo deevaane ho gaye
chaahtoN ki bebasi, dooriyoN ke Gham mile
beqaraariyaaN mileen, chain yaar kam mile
beqaraar nahin karnaa, intazaar nahin karnaa
(had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa) -2
chorus: aa aa aa..

a: koi to vafaa kare koi to jafaa kare
kisko hai pataa yahaaN kaun kyaa Khataa kare
aisaa na ho ishq mein koi dil ko toD de
beech raah mein sanam teraa saath chhoD de
izhaar nahin karnaa, intazaar nahin karnaa
(had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa) -2
aitbaar nahin karnaa
intazaar nahin karnaa
had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa
had se bhi zyaadaa tum, kisi se pyaar nahin karnaa
chorus: aa aa aa aa aa..