Aaha Ayee Milan Ki Bela
Movie Name: Ayee Milan Ki Bela (1964)
Singer: Asha Bhosle, Mohd Rafi
Music Director: Shankar-Jaikishan
Lyrics: Shailendra
Year: 1964
Producer: Filmyug Pvt. Ltd.
Director: Mohan Kumar
Actors: Rajendra Kumar, Saira Bano
Theme: Family Drama
Aaha aayi milan ki bela dekho aayi
Ban ke phool har kali muskuraai
Aaha aayi milan ki bela dekho aayi
Unse nain mile main sharmaayi
Aaha aayi milan ki...
Jaane kyon tez hui jaati hai dil ki dhadkan
Chutkiyaan leti hai kyon seene mein meethi si chubhan
Pyaar jo karte hain hota hai yahi haal unka
Dekhiye kya-kya dikhaayegi abhi dil ki lagan
Aaha aayi milan ki...
Aaj duniya mujhe kuch aur nazar aati hain
Jis taraf dekhiye taqadeer muskuraati hain
Pyaar ke rang mein rang jaate hain jab dilwale
Dekhte-dekhte har cheez badal jaati hain
Aaha aayi milan ki....
Aaj sar se mera aanchal kyon uda jaata hain
Mera dil kyon mere pehlu se khincha jaata hai
Muntazir hoga koi yaad kar raha hoga
Dard sa uthata hain jab yaad kiya jaata hain
Aaha aayi milan ki....