Aanchal Mein Saja Lena

Movie Name: Phir Wohi Dil Laya Hoon (1963)
Singer: Mohd Rafi
Music Director: Nayyar O P
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Year: 1963
Producer: Nasir Hussain Films
Director: Nasir Husain
Actors: Asha Parekh, Joy Mukherjee, Pran, Rajendranath, Tabassum
Theme: Love

aa.Nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N, zulfo.n me.n sitaare bhar lenaa
aise hii kabhii jab shaam Dhale, tab yaad hame.n bhii kar lenaa
aa.Nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N

aayaa thaa yahaa.N begaanaa saa
aayaa thaa yahaa.N begaanaa saa, chal duu.ngaa kahii.n diivaanaa saa
chal duu.ngaa kahii.n diivaanaa saa
diivaane kii khaatir tum koI, ilzaam naa apane sar lenaa
aise hii kabhii jab shaam Dhale, tab yaad hame.n bhii kar lenaa
aa.Nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N

rastaa jo mile a.njaan koI
rastaa jo mile a.njaan koI, aa jaae agar tuufaan koI
aa jaae agar tuufaan koI
apane ko akelaa jaan ke tum
aa.Nkho.n me.n na aa.nsuu bhar lenaa
aise hii kabhii jab shaam Dhale, tab yaad hame.n bhii kar lenaa
aa.Nchal me.n sajaa lenaa kaliyaa.N