Preet Laga Ke

Movie Name: Aankhen (1950)
Singer: Mukesh
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Year: 1950
Producer: Goel Cine Corporation
Director: Devendra Goel
Actors: Anwari, Bharat Bhushan, Cuckoo, Nalini Jaywant, Shekhar, Yaqub
Theme: Family Drama

Preet Lagaa Ke Mein Ne Yeh Phal Paayaa
Sud Budh Khoyi, Chain Gawanyaa

Tum Ne Mujhse Pyaar Kiyaa Thaa
Ulfat Kaa Iqaraar Kiyaa Thaa
Apnaa Banaa Ke Pahele Ye Bisaraayaa
Preet Kaa Waadaa Khub Nibhaayaa

Aa Ke Jo Dekhen Tu Dukh Mere
Kyaa Na Bahenge Aansoo Tere
Dukh De Mujh Ko, Tune Kyaa Sukh Paayaa
Tujh Ko Bedardi Reham Na Aayaa

Ek Jhalak Phir Se Dikhlaa De
Khwaab Mein Aa Kar Itnaa Bataa De
Jyot Bujhaa Kar In Nayanon Ki
Kiske Man Kaa Deep Jalaaya

Preet Lagaa Ke Mein Ne Yeh Phal Paayaa
Sud Budh Khoyi, Chain Gawanyaa