Dil Ka Koi Tukda

Movie Name: Kya Kehna (2000)
Singer: Hariharan
Music Director: Rajesh Roshan
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Year: 2000
Producer: Taurani S
Director: Kundan Shah
Actors: Anupam Kher, Chandrachur Singh, Farida Jalal, Preity Zinta, Saif Ali Khan
Theme: Family Drama

Dil ka koi tukda kabhi dil se juda hota nahin
Apna koi jaisa bhi ho apna hai vo dooja nahin
Yehi vo milan hai jo sachmuch hai dil ka karaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna

Aye dil laaya hai bahaar apnon ka pyaar kya kehna
Milein hum chhalak utha khushi ka khumar kya kehna

Kuchh apne hi tak yoon nahin ye hai sawaal sabke liye
Jeena hai to jag mein jiyo banke misaal sabke liye
Dekho kaisa mehek raha pyaar bhari baahon ka haar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
Aye dil laaya hai bahaar apnon ka pyaar kya kehna
Milein hum chhalak utha khushi ka khumar kya kehna

Jo ho gaya so ho gaya logon se tu darna nahin
Saathi tere hain aur bhi duniya mein tu tanha nahin
Saamna karenge milke chaahe dus ho chaahe hazaar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
Aye dil laaya hai bahaar apnon ka pyaar kya kehna
Milein hum chhalak utha khushi ka khumar kya kehna

Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj ghar hai mera gule gulzaar kya kehna.