Bairan Neend Na Aaye
Movie Name: Chacha Zindabad (1959)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Rajinder Kishan
Year: 1959
Producer: Lights Shade
Director: Om Prakash
Actors: Anita Guha, Baghwan, Jagirdar, Kishore Kumar, Om Prakash, Sunder, Tun Tun
Theme: Comedy
Bairan neend na aaye [2]
Mohe bairan neend na aaye
Mora jiya ghabaraaye
Bairan neend na ...
Sooni padi meri palakon ki galiyaan [2]
Kaun khilaaye nindiya ki kaliyaan
Apane bhi hain paraaye
Mohe bairan neend ...
Laakh jatan karoon aankh na laage [2]
So gaeen kushiyaan aur gam jaage
Ghaayal man kit jaaye
Mohe bairan neend ...
Yaad aayen jab pyaar ki baaten [2]
Aur bhi lambi ho jaayen raaten
Bhor nazar nahi aaye
Mohe bairan neend ...