Kehte Kehte

Movie Name: Chupke Se (2003)
Singer: Asha Bhosle, Lucky Ali
Music Director: Shona Urvashi
Lyrics: Gulzar
Year: 2003
Producer: Vishal Bharadwaj
Director: PLA Entertainment
Actors: Masumi Makhija, Rati Agnihotri, Zulfi Sayed

la: huN huN huN huN
a: huN huN huN huN
la: kahte kahte ruk jaati hai na jaane kyuN
donoN aaNkhen jhuk jaati hai na jaane kyuN

a: o kahte kahte ruk jaati hai na jaane kyuN
donoN aaNkhen jhuk jaati hai na jaane kyuN
kah bhi rahe ho, sun bhi rahe ho
bolo na, bataa do -2
la: o kahte kahte ruk jaati hai na jaane kyuN
donoN aaNkhen jhuk jaati hai na jaane kyuN

a: kabhi to neend bhi aayee nahin
aaNkhoN se Khvaab bhi jaayeN nahin
la: abhi yahin hai, abhi nahin hai
kabhi jo gum ho to lage tum ho
kyaa rahe the tum do aaNkhoN se
kyuN kah rahe the tum do aaNkhoN se
bolo na, bataa do -2
a: ho kahte kahte ruk jaati hai na jaane kyuN
donoN aaNkhen jhuk jaati hai na jaane kyuN

la: laboN ki girah, kholo zaraa
havaa ki tarah uD lo zaraa
a: aisa to kabhi huaa hi nahin
gale bhi lage chhuaa bhi nahin
kuchh to huaa hai na, anjaane mein
moD aayaa hai jo afsaane mein
bolo na, bataa do, arey bolo na, bataa do
la: kahte kahte ruk jaati hai na jaane kyuN
donoN aaNkhen jhuk jaati hai na jaane kyuN
kah bhi rahe ho, sun bhi rahe ho
bolo na, bataa do