Paas Aaya Kyon

Movie Name: Aggar (2007)
Singer: Mithoon, Sharmishtha
Music Director: Mithoon
Lyrics: Sayeed Qadri
Year: 2007
Producer: Narender Bajaj
Director: Ananth Narayan Mahadevan
Actors: Shreyas Talpade, Tusshar Kapoor, Udita Goswami, Vikas Kalantri

(jab rulaana hi tha tujhe toh phir hasaaya kyun
saath rehkar bhi hai juda toh paas aaya kyun) - 3

(kyun yakin uth gaya dil se kahin wafaaon ka
pyaar mehsus kyun hone laga gunaaho sa) - 2
aaya apane bich mein kisika saaya kyun
jab rulaana hi tha tujhe toh phir hasaaya kyun
saath rehkar bhi hai juda toh paas aaya kyun

(tu ajnabi ki tarah humase pesh aata hai
chand lamhe bhi hamein tu na de paata hai) - 2
aisi kya hamane ki khata, hame sataaya kyun
(jab rulaana hi tha tujhe toh phir hasaaya kyun
saath rehkar bhi hai juda toh paas aaya kyun) - 2