Saanson Ka Kya Hai

Movie Name: Chor Aur Chand (1993)
Singer: Anuradha Paudwal S P Balasubramaniam
Music Director: Nikhil-Vinay
Year: 1993
Producer: Aditya Pancholi
Director: Pawan Kaul
Actors: Aditya Pancholi, Alok Nath, Avtar Gill, Kiran Kumar, Pooja Bhatt, Shiva

(Saanson ka kya hai pata - 2
Saanson ke bin jee leinge ham
Teri dhadkan ki dhun jo sun leinge ham.. ) - 2
Saanson kaa kyaa hai pataa - 2

Mud kar kise dekhnaa hai, chhootaa hai saayaa kahaan
Ham saath hain Dhoondh leinge kuchh roshni ke nishaan
Jaan gaye jeene ki ham ye adaa saanson kaa kyaa hai pataa - 2
Saanson ke bin jee leinge ham
Teri dhadakn ki dhun jo sun leinge ham..
Saanson kaa kyaa hai pataa - 2

Ab kyaa shikaayat karein ham, kisko kahein bevafaa
Apne liye zindagi to, Khud hai koi haadsaa
O...., dekheinge ab aage hotaa hai kyaa

Saanson ka kya hai pata - 2
Saanson ke bin jee leinge ham
Teri dhadkan ki dhun jo sun leinge ham..

Saanson kaa kyaa hai pataa - 2
Saanson ke bin jee leinge ham
Teri dhadkan ki dhun jo sun leinge ham..

Saanson kaa kyaa hai pataa

Saanson kaa kyaa hai pataa